Monday, October 31, 2005

kabhi barasti hai sawan ki jadhi,
kahin aati hai gam ki gadhi,
kahin mor baarish ki aas lagaye hai,
kahin kisi ke naina rah bichaye baithe hai,
kahin chaya hua hai ghor andhera,
kahin koi kuch kah raha hai,"sambhal ke chalna"

kahin dhup hai, kahin chav hai,
par kahin tu chaya bhi milegi,
kahi pathar hai,kahi kante hai,
par kahi phool bhi milenge..

kahi rasta hai, kahi namo nishan bhi nahi...
manzil bhi milegi,
kahin pahuchne tak bahut der na ho jayega,
bahut der na ho jayega.
dar hai tu bas itna.

3 Comments:

Anonymous Anonymous said...

kya baat hai...
kalpana ki kavitae to unki udaan ki tarah behtar hoti he jaa rahi hai...

10:05 PM  
Anonymous Anonymous said...

dhoop na ho, to chav ka aanand he nahi pataa chalta,
bin kaanto ke phool bhi nahi baste..
zindagi mae har pal uttar-chadhav ka hota hai,
pur isme bhi ye safar kat jaata hai haste haste...

10:06 PM  
Anonymous Anonymous said...

zindagi mae har kadam samajh kar rakhna chahiye...
par darne se kaam nahi chalega...

kahi kaanto ke dar se , phool bhi dikhna band na ho jae !!

10:11 PM  

Post a Comment

<< Home